tiir chille pe na aanā ki ḳhatā ho jaanā
lab tak aate hue shikve kā duā ho jaanā
yaad hai us but-e-kāfir kā ḳhafā ho jaanā
aur mirā bhuul ke mā.il-ba-duā ho jaanā
hairat-añgez hai naqqāsh-e-azal ke hāthoñ
merī tasvīr kā tasvīr-e-fanā ho jaanā
dast-e-taqdīr meñ shamshīr-e-jafā denā hai
ḳhud-ba-ḳhud banda-e-taslīm-o-razā ho jaanā
us kī uftād pe ḳhurshīd kī rif.at qurbāñ
jis ko bhāyā tirā naqsh-e-kaf-e-pā ho jaanā
raunaq-e-bazm hai shevan se to shevan hī sahī
ham-safīrān-e-chaman phir na ḳhafā ho jaanā
dāvar-e-hashr kā insāf ishāre un ke
bas yahī hai kisī bande kā ḳhudā ho jaanā