dostī kā chalan rahā hī nahīñ
ab zamāne kī vo havā hī nahīñ
sach to ye hai sanam-kade vaalo
dil ḳhudā ne tumheñ diyā hī nahīñ
palaT aane se ho gayā sābit
nāma-bar tū vahāñ gayā hī nahīñ
haal ye hai ki ham ġharīboñ kā
haal tum ne kabhī sunā hī nahīñ
kyā chale zor dasht-e-vahshat kā
ham ne dāman kabhī siyā hī nahīñ
ġhair bhī ek din mareñge zarūr
un ke hisse meñ kyā qazā hī nahīñ
us kī sūrat ko dekhtā huuñ maiñ
merī sīrat vo dekhtā hī nahīñ
ishq merā hai shahr meñ mash.hūr
aur tum ne abhī sunā hī nahīñ
qissa-e-qais sun ke farmāyā
jhuuT kī koī intihā hī nahīñ
vāsta kis kā deñ 'hafīz' un ko
un butoñ kā koī ḳhudā hī nahīñ