Hafeez Jalandhari

na kar dil-jui ai sayyaad meri

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
na kar dil-jūī ai sayyād merī
ki fitrat hai bahut āzād merī
asīrī se rihā.ī paane vaalo
tumheñ pahuñche mubārakbād merī
sahārā kyuuñ liyā thā nāḳhudā kā
ḳhudā bhī kyuuñ kare imdād merī
bhulā do mujh ko lekin yaad rakhnā
satā.egī tumheñ bhī yaad merī
farishte kyā murattab kar sakeñge
bahut be-rabt hai rūdād merī
pasand aane lagī thī sar-bulandī
yahī thī avvalīñ uftād merī
kyā pāband-e-nai naale ko maiñ ne
ye tarz-e-ḳhās hai ījād merī
mire ash.ār par chup rahne vaale
tire hisse meñ aa.ī daad merī
qazā kā zulm had se baḌh gayā hai
koī suntā nahīñ fariyād merī
ḳhudāvandā qazā ne chhīn lī hai
mire āġhosh se 'irshād' merī
Top Urdushayar.com