Hafeez Jalandhari

nigah-e-arzu-amoz ka charcha na ho jae

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
nigāh-e-ārzū-āmoz kā charchā na ho jaa.e
sharārat sādgī hī meñ kahīñ rusvā na ho jaa.e
unheñ ehsās-e-tamkīñ ho kahīñ aisā na ho jaa.e
jo honā ho abhī ai jur.at-e-rindāna ho jaa.e
ba-zāhir sādgī se muskurā kar dekhne vaalo
koī kam-baḳht nā-vāqif agar dīvāna ho jaa.e
bahut hī ḳhuub shai hai iḳhtiyārī shān-e-ḳhuddārī
agar ma.ashūq bhī kuchh aur be-parvā na ho jaa.e
irāde bāñdhtā huuñ sochtā huuñ toḌ detā huuñ
kahīñ aisā na ho jaa.e kahīñ aisā na ho jaa.e
ilāhī dil-navāzī phir kareñ vo mai-farosh āñkheñ
ilāhī ittihād-e-shīsha-o-paimāna ho jaa.e
mirī ulfat ta.ajjub ho ga.ī tauba ma.āz-allāh
ki muñh se bhī na nikle baat aur afsāna ho jaa.e
ye tanhā.ī kā aalam chāñd tāroñ kī ye ḳhāmoshī
'hafīz' ab lutf hai ik nāra-e-mastāna ho jaa.e
Top Urdushayar.com