uTho ab der hotī hai vahāñ chal kar sañvar jaanā
yaqīnī hai ghaḌī do meñ marīz-e-ġham kā mar jaanā
mujhe Dar hai guloñ ke bojh se marqad na dab jaa.e
unheñ aadat hai jab aanā zarūr ehsān dhar jaanā
habāb aa sāmne sab valvale josh-e-javānī ke
ġhazab thā qulzum-e-ummīd kā chaḌh kar utar jaanā
yahāñ juz kashtī-e-mauj-e-balā kuchh bhī na pāoge
isī ke āsare dariyā-e-hastī se utar jaanā
mabādā phir asīr-e-dām-e-aql-o-hosh ho jā.ūñ
junūñ kā is tarah achchhā nahīñ had se guzar jaanā
'hafīz' āġhāz se anjām tak rahzan ne pahuñchāyā
usī ko ham-safar paayā usī ko ham-safar jaanā