daur-e-rafta dekh letā huuñ gulistāñ dekh kar
gul ko ḳhandāñ dekh kar bulbul ko giryāñ dekh kar
nāḳhudā par mutma.in the bandagān-e-nāḳhudā
ab ḳhudā yaad aa rahā hai mauj-e-tūfāñ dekh kar
sañg-dil samjhā barahman shaiḳh samjhe had mazāq
hañs paḌe donoñ mujhe ab tak musalmāñ dekh kar
shikva farmāte hī ulTī minnateñ karnī paḌīñ
dil pashemāñ ho gayā un ko pashemāñ dekh kar
is mashaqqat-gāh meñ rāhat kā ye gosha 'hafīz'
dekh lo aur ḳhush raho gor-e-ġharībāñ dekh kar