Hafeez Jalandhari

wo sarKHushi de ki zindagi ko shabab se bahara-yab kar de

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
vo sarḳhushī de ki zindagī ko shabāb se bahara-yāb kar de
mire ḳhayāloñ meñ rañg bhar de mire lahū ko sharāb kar de
haqīqateñ āshkār kar de sadāqateñ be-hijāb kar de
har ek zarra ye kah rahā hai ki aa mujhe āftāb kar de
ye ḳhvāb kyā hai ye zisht kyā hai jahāñ kī aslī sirisht kyā hai
baḌā mazā ho tamām chehre agar koī be-naqāb kar de
kaho to rāz-e-hayāt kah duuñ haqīqat-e-kā.enāt kah duuñ
vo baat kah duuñ ki pattharoñ ke jigar ko bhī aab aab kar de
ḳhilāf-e-taqdīr kar rahā huuñ phir ek taqsīr kar rahā huuñ
phir ek tadbīr kar rahā huuñ ḳhudā agar kāmyāb kar de
tire karam ke muāmle ko tire karam hī pe chhoḌtā huuñ
mirī ḳhatā.eñ shumār kar le mirī sazā kā hisāb kar de
'hafīz' sab se baḌī ḳharābī hai ishq meñ lutf-e-kām-yābī
kisī kī duniyā tabāh kar de kisī kī uqbā ḳharāb kar de
Top Urdushayar.com