Hafeez Jalandhari

phir lutf-e-KHalish dene lagi yaad kisi ki

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
phir lutf-e-ḳhalish dene lagī yaad kisī kī
phir bhuul ga.ī yaad ko be-dād kisī kī
phir rañj-o-alam ko hai kisī kā ye ishāra
ujḌī huī bastī karo ābād kisī kī
phir ḳhat kā javāb ek vahī tanz kā misra.a
majbūr hai kyuuñ fitrat-e-āzād kisī kī
phir de ke ḳhushī ham use nāshād kareñ kyuuñ
ġham hī se tabī.at hai agar shaad kisī kī
phir pand-o-nasīhat ke liye aane lage dost
vo dost jo karte nahīñ imdād kisī kī
phir shahr meñ charchā hai na.ī sañg-zanī kā
aḳhbār meñ phir darj hai rūdād kisī kī
phir bāb-e-asar kā koī rasta nahīñ miltā
phir bhaTkī huī phirtī hai fariyād kisī kī
phir ḳhaak uḌāte hue phirte haiñ bagūle
phir dasht meñ miTTī huī barbād kisī kī
phir maiñ bhī karūñ kyuuñ na 'hafīz' is pe tasallut
jāgīr nahīñ tab-e-ḳhudā-dād kisī kī
Top Urdushayar.com