dil-e-be-mudda.ā hai aur maiñ huuñ
magar lab par duā hai aur maiñ huuñ
na saaqī hai na ab vo shai hai baaqī
mirā daur aa gayā hai aur maiñ huuñ
udhar duniyā hai aur duniyā ke bande
idhar merā ḳhudā hai aur maiñ huuñ
koī pursāñ nahīñ pīr-e-muġhāñ kā
faqat merī vafā hai aur maiñ huuñ
abhī mī.ād baaqī hai sitam kī
mohabbat kī sazā hai aur maiñ huuñ
na pūchho haal merā kuchh na pūchho
ki taslīm o razā hai aur maiñ huuñ
ye tūl-e-umr nā-māqūl o be-kaif
buzurgoñ kī duā hai aur maiñ huuñ
lahū ke ghūñT piinā aur jiinā
musalsal ik mazā hai aur maiñ huuñ
'hafīz' aisī falākat ke dinoñ meñ
faqat shukr-e-ḳhudā hai aur maiñ huuñ