hayāt-e-jāvedāñ vaale ne maarā
zabāñ de kar zabāñ vaale ne maarā
bashar ko is qafas meñ tañg kar ke
zamīñ o āsmāñ vaale ne maarā
nigāheñ kaam detī haiñ na rāheñ
makān o lā-makāñ vaale ne maarā
gavārā hai davāmī talḳh-kāmī
kisī mīThī zabāñ vaale ne maarā
nasīhat-gar ko samjhāo ḳhudārā
ki is sūd-o-ziyāñ vaale ne maarā
koī had bhī hai taslīm-o-razā kī
musalsal imtihāñ vaale ne maarā
vo dil meñ hai dil āñkhoñ meñ nihāñ hai
nishāñ de kar nishāñ vaale ne maarā
sū-e-manzil liye jaatā hai zālim
hameñ is kārvāñ vaale ne maarā
hamesha ke liye ḳhāmosh ho kar
na.ī tarz-e-fuġhāñ vaale ne maarā
mujhe kam-zarf kahlānā paḌegā
matā-e-do-jahāñ vaale ne maarā