aa hī gayā vo mujh ko lahad meñ utārne
ġhaflat zarā na kī mire ġhaflat-shi.ār ne
o be-nasīb din ke tasavvur se ḳhush na ho
cholā badal liyā hai shab-e-intizār ne
ab tak asīr-e-dām-e-fareb-e-hayāt huuñ
mujh ko bhulā diyā mire parvardigār ne
nauhagaroñ ko bhī hai galā baiThne kī fikr
jaatā huuñ aap apnī ajal ko pukārne
dekhā na kārobār-e-mohabbat kabhī 'hafīz'
fursat kā vaqt hī na diyā kārobār ne