husn ne sīkhīñ ġharīb-āzāriyāñ
ishq kī majbūriyāñ lāchāriyāñ
bah gayā dil hasratoñ ke ḳhuun meñ
le ga.iiñ bīmār ko bīmāriyāñ
soch kar ġham dījiye aisā na ho
aap ko karnī paḌeñ ġham-ḳhvāriyāñ
daar ke qadmoñ meñ bhī pahuñchī na aql
ishq hī ke sar rahīñ sardāriyāñ
ik taraf jins-e-vafā qīmat-tabal
ik taraf maiñ aur mirī nādāriyāñ
hote hote jaan dūbhar ho ga.ī
baḌhte baḌhte baḌh ga.iiñ be-zāriyāñ
tum ne duniyā hī badal Daalī mirī
ab to rahne do ye duniyā-dāriyāñ