dil se tirā ḳhayāl na jaa.e to kyā karūñ
maiñ kyā karūñ koī na batā.e to kyā karūñ
ummīd-e-dil-nashīñ sahī duniyā hasīñ sahī
tere baġhair kuchh bhī na bhaa.e to kyā karūñ
dil ko ḳhudā kī yaad tale bhī dabā chukā
kam-baḳht phir bhī chain na paa.e to kyā karūñ
din ho ki raat ek mulāqāt kī hai baat
itnī sī baat bhī na ban aa.e to kyā karūñ
jo kuchh banā diyā hai tire intizār ne!
ab sochtā huuñ tū idhar aa.e to kyā karūñ
dīda-varān-e-but-kada ik mashvara to do
ka.aba jhalak yahāñ bhī dikhā.e to kyā karūñ
apnī nafī to falsafī-jī qatl-e-nafs hai
kahiye koī ye jurm sujhā.e to kyā karūñ
ye haa.e haa.e maz.haka-añgez hai to ho
dil se uThe zabān jalā.e to kyā karūñ
maiñ kyā karūñ maiñ kyā karūñ gardān ban ga.ī
maiñ kyā karūñ koī na batā.e to kyā karūñ
aḳhbār se mirī ḳhabar-e-marg ai 'hafīz'
merā hī dost paḌh ke sunā.e to kyā karūñ