Hafeez Jalandhari

in gesuon mein shana-e-arman na kijiye

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
in gesuoñ meñ shāna-e-armāñ na kījiye
ḳhūn-e-jigar se dāvat-e-mizhgāñ na kījiye
mar jā.iye na kījiye zikr-e-bahisht-o-hūr
ab ḳhvāb ko bhī ḳhvāb-e-pareshāñ na kījiye
baaqī ho jo bhī hashr yahīñ par uThā.iye
marne ke ba.ad ziist kā sāmāñ na kījiye
dozaḳh ko dījiye na parāgandagī mirī
shīrāza-e-bahisht pareshāñ na kījiye
shāyad yahī jahāñ kisī majnūñ kā ghar bane
vīrāna bhī agar hai to vīrāñ na kījiye
kyā nāḳhudā baġhair koī Dūbtā nahīñ
mujh ko mire ḳhudā se pashemāñ na kījiye
hai but-kade meñ bhī use īmān kā ḳhayāl
kyuuñ e'tibār-e-mard-e-musalmāñ na kījiye
ham se ye bār-e-lutf uThāyā na jā.egā
ehsāñ ye kījiye ki ye ehsāñ na kījiye
ā.īna dekhiye mirī sūrat na dekhiye
maiñ ā.īna nahīñ mujhe hairāñ na kījiye
tū hī azīz-e-ḳhātir-e-ahbāb hai 'hafīz'
kyā kījiye agar tujhe qurbāñ na kījiye
Top Urdushayar.com