Hafeez Jalandhari

mazhaka aao uDaen ishq-e-be-buniyaad ka

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
maz.haka aao uḌā.eñ ishq-e-be-buniyād kā
ik judā madfan banā.eñ tesha-e-farhād kā
vāh-vāh kyā rañg badlā gulshan-e-ījād kā
sāya-e-gul par gumāñ hone lagā sayyād kā
bah chalā hai ashk-e-hasrat al-madad ai barq-e-yās
ye bhī ik daana hai mere ḳhirman-e-barbād kā
kis nigāh-e-garm se dekhā hai us ne vaqt qatl
aah ThanDī paḌ ga.ī dam ghuT gayā fariyād kā
ġhuncha ġhuncha ḳhauf se mujh ko nazar aayā qafas
patte patte par huā dhokā kaf-e-saiyād kā
ye samajh liije kisī shā.er ke dil kā TūTnā
TuuT jaanā hai tilism-e-ālam-e-ījād kā
ho na ehsās-e-asīrī to rihā.ī hai muhāl
aaise qaidī naam tak lete nahīñ mī.ād kā
zo.af kī ye himmateñ haiñ nā-tavānī kā ye zor
TukḌe TukḌe kar diyā dāman mirī fariyād kā
us suḳhnavar se mujhe faiz-e-suḳhan hai ai 'hafīz'
nām-e-nāmī hai girāmī jis jahāñ ustād kā
Top Urdushayar.com