duur se āñkheñ dikhātī hai na.ī duniyā mujhe
gulshan-e-hastī nazar aatā hai ik sahrā mujhe
aql kī vaadī meñ huuñ gum-karda-e-maqsūd-e-ishq
DhūñDhtā huuñ aur nahīñ miltā koī rastā mujhe
ye bhī ik dhokā thā nairañg-e-tilism-e-aql kā
apnī hastī par bhī hastī kā huā dhokā mujhe
shauq merā tālib-e-dīdār ho jaatā agar
dekhtā 'mūsā' mujhe siinā mujhe jalva mujhe
shā.erī kyā kafsh-e-bardār-e-girāmī huuñ 'hafīz'
be-kamālī ke sivā koī nahīñ da.avā mujhe