Hafeez Jalandhari

koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
koī davā na de sake mashvara-e-duā diyā
chāragaroñ ne aur bhī dard dil kā baḌhā diyā
donoñ ko de ke sūrateñ saath hī aa.ina diyā
ishq bisorne lagā husn ne muskurā diyā
zauq-e-nigāh ke sivā shauq-e-gunāh ke sivā
mujh ko butoñ se kyā milā mujh ko ḳhudā ne kyā diyā
thī na ḳhizāñ kī rok-thām dāman-e-iḳhtiyār meñ
ham ne bharī bahār meñ apnā chaman luTā diyā
husn-e-nazar kī aabrū san.at-e-barhaman se hai
jis ko sanam banā liyā us ko ḳhudā banā diyā
daaġh hai mujh pe ishq kā merā gunāh bhī to dekh
us kī nigāh bhī to dekh jis ne ye gul khilā diyā
ishq kī mamlikat meñ hai shorish-e-aql-e-nā-murād
ubhrā kahīñ jo ye fasād dil ne vahīñ dabā diyā
naqsh-e-vafā to maiñ hī thā ab mujhe DhūñDte ho kyā
harf-e-ġhalat nazar paḌā tum ne mujhe miTā diyā
ḳhubs-e-darūñ dikhā diyā har dahan-e-ġhalīz ne
kuchh na kahā 'hafīz' ne hañs diyā muskurā diyā
Top Urdushayar.com