hairān na ho dekh maiñ kyā dekh rahā huuñ
bande tirī sūrat meñ ḳhudā dekh rahā huuñ
vo apnī jafāoñ kā asar dekh rahe haiñ
maiñ ma.anī-e-taslīm-o-razā dekh rahā huuñ
duzdīda nigāhoñ se kidhar dekh rahe ho
kyā baat hai! ye aaj maiñ kyā dekh rahā huuñ
hai husn yahī shai to gumāñ aur na kiije
saudā nahīñ matlūb zarā dekh rahā huuñ
kis tarah na qaa.il huuñ duā-e-saharī kā
us lab pe tabassum kī ziyā dekh rahā huuñ
kyuuñ arz-e-vatan tañg hai ye baat hī kyā hai
ab to faqat ik qabr kī jā dekh rahā huuñ
mar jaane kī dhamkī huī tamhīd-e-tamāshā
maiñ ne kahā dekh us ne kahā dekh rahā huuñ