aane vaale jaane vaale har zamāne ke liye
aadmī mazdūr hai rāheñ banāne ke liye
zindagī firdaus-e-gum-gashta ko pā saktī nahīñ
maut hī aatī hai ye manzil dikhāne ke liye
merī peshānī pe ik sajda to hai likkhā huā
ye nahīñ ma.alūm hai kis āstāne ke liye
un kā va.ada aur mujhe us par yaqīñ ai ham-nashīñ
ik bahāna hai taḌapne tilmilāne ke liye
jab se pahra zabt kā hai āñ.suoñ kī fasl par
ho ga.iiñ muhtāj āñkheñ daane daane ke liye
āḳhirī ummīd vaqt-e-naza.a un kī diid thī
maut ko bhī mil gayā fiqara na aane ke liye
allāh allāh dost ko merī tabāhī par ye naaz
sū-e-dushman dekhtā hai daad paane ke liye
ne.amat-e-ġham merā hissa mujh ko de de ai ḳhudā
jama.a rakh merī ḳhushī saare zamāne ke liye
nusḳha-e-hastī meñ ibrat ke sivā kyā thā 'hafīz'
surḳhiyāñ kuchh mil ga.iiñ apne fasāne ke liye