in talḳh āñ.suoñ ko na yuuñ muñh banā ke pī
ye mai hai ḳhud-kashīd ise muskurā ke pī
utreñge kis ke halq se ye dil-ḳharāsh ghūñT
kis ko payām duuñ ki mire saath aa ke pī
mashrūb-e-jam hī talḳhi-e-ġham kā ilaaj hai
shīrīnī-e-kalām zarā sī milā ke pī
vaa.iz kī ab na maan agar jaan hai aziiz
is daur meñ ye chiiz ba-taur ik davā ke pī
bhar le piyāla ḳhum-kada-e-zīst se 'hafīz'
ḳhūn-e-jigar hai sāmne chal kar ḳhudā ke pī