jalva-e-husn ko mahrūm-e-tamāshā.ī kar
be-niyāzī sifat-e-lāla-e-sahrā.ī kar
haañ baḌe shauq se shamshīr ke e.ajāz dikhā
haañ baḌe shauq se dāvā-e-masīhā.ī kar
maiñ to majbūr huuñ aadat se kahe jā.ūñgā
tū koī baat na sun aur na pazīrā.ī kar
apne bīmār kī ye āḳhirī ummīd bhī dekh
malak-ul-maut se kahtā hai masīhā.ī kar
mujh ko le jā ke dar-e-yār pe qāsid ne kahā
ḳhāma-farsā.ī na kar nāsiya-farsā.ī kar
ham tirī sūrat-e-inkār ko pahchānte haiñ
vo tabassum tū sharīk-e-lab-e-goyā.ī kar