ye kyā maqām hai vo nazāre kahāñ ga.e
vo phuul kyā hue vo sitāre kahāñ ga.e
yārān-e-bazm jur.at-e-rindāna kyā huī
un mast añkhḌiyoñ ke ishāre kahāñ ga.e
ek aur daur kā vo taqāzā kidhar gayā
umDe hue vo hosh ke dhāre kahāñ ga.e
uftād kyuuñ hai laġhzish-e-mastāna kyuuñ nahīñ
vo uzr-e-mai-kashī ke sahāre kahāñ ga.e
daurān-e-zalzala jo panāh-e-nigāh the
leTe hue the paañv pasāre kahāñ ga.e
bāñdhā thā kyā havā pe vo ummīd kā tilism
rañgīni-e-nazar ke ġhubāre kahāñ ga.e
uTh uTh ke baiTh baiTh chukī gard raah kī
yaaro vo qāfile thake haare kahāñ ga.e
har mīr-e-kārvāñ se mujhe pūchhnā paḌā
sāthī tire kidhar ko sidhāre kahāñ ga.e
farmā ga.e the raah meñ baiTh intizār kar
aa.e nahīñ palaT ke vo pyāre kahāñ ga.e
tum se bhī jin kā ahd-e-vafā ustuvār thā
ai dushmanoñ vo dost hamāre kahāñ ga.e
kashtī na.ī banī ki uThā le gayā koī
taḳhte jo lag ga.e the kināre kahāñ ga.e
ab Dūbtoñ se pūchhtā phirtā hai nāḳhudā
jin ko lagā chukā huuñ kināre kahāñ ga.e
betāb tere dard se the chārāgar 'hafīz'
kyā jāniye vo dard ke maare kahāñ ga.e