Hafeez Jalandhari

shaiKH ka KHauf hamein hashr ka dhaDka hum ko

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
shaiḳh kā ḳhauf hameñ hashr kā dhaḌkā ham ko
saath hī ishq ke āzār ne maarā ham ko
maut kahte haiñ jise zabt kā ye ḳhabt na ho
zindagī par bhī hai fariyād kā dhokā ham ko
jaao haañ jaao raqīboñ kī murādeñ bar laao
rahne do rahne do nākām-e-tamannā ham ko
ham to insān haiñ ai ḳhizr hameñ marnā hai
jiine detā nahīñ fitrat kā taqāzā ham ko
hai abhī duur bahut duur hamārī manzil
hukm hai farsh se tā-arsh-e-muallā ham ko
vo nigah bāñdh ga.ī dil meñ tilism-e-ummīd
nazar aatī hai tamannā hī tamannā ham ko
shahr-e-ulfat meñ nahīñ tafraqa-pardāz 'hafīz'
kahīñ ka.aba nazar aayā na kalīsā ham ko
Top Urdushayar.com