Hafeez Jalandhari

chale the hum ki sair-e-gulshan-e-ijad karte hain

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
chale the ham ki sair-e-gulshan-e-ījād karte haiñ
ki itne meñ ajal aa kar pukārī yaad karte haiñ
hujūm-e-ārzū se shahr-e-dil ābād karte haiñ
ham apnī ḳhaak apne haath se barbād karte haiñ
taraf-dārī na kar insāf kar ai dāvar-e-mahshar
sazā de in butoñ ko varna ham fariyād karte haiñ
kabhī to rañg lā.egā kabhī to gul khilā.egā
ham apnā ḳhuun sarf-e-gulshan-e-ījād karte haiñ
hameñ to kār-pardāzān-e-qudarat khel samjhe haiñ
kabhī ābād karte haiñ kabhī barbād karte haiñ
kisī ummīd par zinda rahūñ yā ghuT ke mar jā.ūñ
vo kyā kahte haiñ ai qāsid vo kyā irshād karte haiñ
'hafīz' apnī tabī.at par mujhe ḳhud rashk aatā hai
mire ash.ār par hazrat hamesha saad karte haiñ
Top Urdushayar.com