Hafeez Jalandhari

kal zarur aaoge lekin aaj kya karun

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
kal zarūr aaoge lekin aaj kyā karūñ
baḌh rahā hai qalb kā iḳhtilāj kyā karūñ
kyā karūñ koī nahīñ ehtiyāj dost ko
aur mujh ko dost kī ehtiyāj kyā karūñ
ab vo fikrmand haiñ kah diyā tabīb ne
ishq hai junūñ nahīñ maiñ ilaaj kyā karūñ
ġhairat-e-raqīb kā shikva kar rahe ho tum
is muāmle meñ saḳht hai mizāj kyā karūñ
mā-sivā-e-āshiqī aur kuchh kiyā bhī ho
sūjhtā hī kuchh nahīñ kām-kāj kyā karūñ
mahv-e-kār-e-deñ huuñ maiñ boriyā-nashīñ huuñ maiñ
rāhzan nahīñ huuñ maiñ taḳht-o-tāj kyā karūñ
zor aur zar baġhair ishq kyā karūñ 'hafīz'
chal gayā hai mulk meñ ye rivāj kyā karūñ
Top Urdushayar.com