Hafeez Jalandhari

arz-e-hunar bhi wajh-e-shikayat ho gai

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
arz-e-hunar bhī vaj.h-e-shikāyāt ho ga.ī
chhoTā sā muñh thā mujh se baḌī baat ho ga.ī
dushnām kā javāb na sūjhā ba-juz-salām
zāhir mire kalām kī auqāt ho ga.ī
dekhā jo khā ke tiir kamīñ-gāh kī taraf
apne hī dostoñ se mulāqāt ho ga.ī
yā zarbat-e-ḳhalīl se but-ḳhāna chīḳh uThā
yā pattharoñ ko ma.arifat-e-zāt ho ga.ī
yārān-e-be-bisāt ki har bāzī-e-hayāt
khele baġhair haar ga.e maat ho ga.ī
be-razm din guzār liyā ratjagā manāo
ai ahl-e-bazm jaag uTho raat ho ga.ī
nikle jo mai-kade se to masjid thā har maqām
har gaam par talāfi-e-māfāt ho ga.ī
hadd-e-amal meñ thī to amal thī yahī sharāb
radd-e-amal banī to mukāfāt ho ga.ī
ab shukr nā-qubūl hai shikva fuzūl hai
jaise bhī ho ga.ī basar-auqāt ho ga.ī
vo ḳhush-nasīb tum se mulāqāt kyuuñ kare
darbān hī se jis kī mudārāt ho ga.ī
har ek rahnumā se bichhaḌnā paḌā mujhe
har moḌ par koī na koī ghaat ho ga.ī
yāroñ kī barhamī pe hañsī aa ga.ī 'hafīz'
ye mujh se ek aur burī baat ho ga.ī
Top Urdushayar.com