Hafeez Jalandhari

o dil toD ke jaane wale dil ki baat batata ja

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
o dil toḌ ke jaane vaale dil kī baat batātā jā
ab maiñ dil ko kyā samjhā.ūñ mujh ko bhī samjhātā jā
haañ mere majrūh tabassum ḳhushk laboñ tak aatā jā
phuul kī hast-o-būd yahī hai khiltā jā murjhātā jā
merī chup rahne kī aadat jis kāran bad-nām huī
ab vo hikāyat aam huī hai suntā jā sharmātā jā
ye dukh-dard kī barkhā bande den hai tere daatā kī
shukr-e-ne.amat bhī kartā jā dāman bhī phailātā jā
jiine kā armān karūñ yā marne kā sāmān karūñ
ishq meñ kyā hotā hai nāseh aql kī baat sujhātā jā
tujh ko abr-ālūd dinoñ se kaam na chāñdnī rātoñ se
bahlātā hai bātoñ se bahlātā jā bahlātā jā
donoñ sañg-e-rāh-e-talab haiñ rāh-numā bhī manzil bhī
zauq-e-talab har ek qadam par donoñ ko Thukrātā jā
naġhme se jab phuul khileñge chunñe vaale chun leñge
sunñe vaale sun leñge tū apnī dhun meñ gaatā jā
āḳhir tujh ko bhī maut aa.ī ḳhair 'hafīz' ḳhudā-hāfiz
lekin marte marte pyāre vaj.h-e-marg batātā jā
Top Urdushayar.com