Hafeez Jalandhari

kam-baKHt dil bura hua teri aah aah ka

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
kam-baḳht dil burā huā tirī aah aah kā
husn-e-nigāh bhī na rahā gaah gaah kā
chheḌo na mīThī niiñd meñ ai munkar-o-nakīr
sone do bhaa.ī maiñ thakā-māñda huuñ raah kā
mere muqallidoñ ko mirī rāh-e-shauq meñ
har gaam par nishān milā sajda-gāh kā
dil sā gavāh hashr meñ aa kar phisal gayā
ab rahm par muāmla hai dād-ḳhvāh kā
kis muñh se kah rahe ho hameñ kuchh ġharaz nahīñ
kis muñh se tum ne va.ada kiyā thā nibāh kā
dil lene vaalī baat isī dil se pochhiye
mālik yahī hai mere safed o siyāh kā
pesh-e-ḳhudā chalo to maza jab hai ai 'hafīz'
na.ara ho lab pe ashhado-an-lā-ilāh kā
Top Urdushayar.com