Hafeez Jalandhari

jahan qatre ko tarsaya gaya hun

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
jahāñ qatre ko tarsāyā gayā huuñ
vahīñ Duubā huā paayā gayā huuñ
ba-hāl-e-gumrahī paayā gayā huuñ
haram se dair meñ laayā gayā huuñ
balā kaafī na thī ik zindagī kī
dobāra yaad farmāyā gayā huuñ
ba-rañg-e-lāla-e-vīrāna bekār
khilāyā aur murjhāyā gayā huuñ
agarche abr-e-gauhar-bār huuñ maiñ
magar āñkhoñ se barsāyā gayā huuñ
supurd-e-ḳhāk hī karnā thā mujh ko
to phir kaahe ko nahlāyā gayā huuñ
farishte ko na maiñ shaitān samjhā
natīja ye ki bahkāyā gayā huuñ
koī san.at nahīñ mujh meñ to phir kyuuñ
numā.ish-gāh meñ laayā gayā huuñ
ba-qaul-e-barhaman qahr-e-ḳhudā huuñ
butoñ ke husn par Dhāyā gayā huuñ
mujhe to is ḳhabar ne kho diyā hai
sunā hai maiñ kahīñ paayā gayā huuñ
'hafīz' ahl-e-zabāñ kab mānte the
baḌe zoroñ se manvāyā gayā huuñ
Top Urdushayar.com