ishq ne husn kī be-dād pe ronā chāhā
tuḳhm-e-ehsās-e-vafā sañg meñ bonā chāhā
aane vaale kisī tūfān kā ronā ro kar
nā-ḳhudā ne mujhe sāhil pe Dubonā chāhā
sañg-dil kyuuñ na kaheñ but-kade vaale mujh ko
maiñ ne patthar kā parastār na honā chāhā
hazrat-e-shaiḳh na samjhe mire dil kī qīmat
le ke tasbīh ke rishte meñ pironā chāhā
koī mazkūr na thā ġhair kā lekin tum ne
bātoñ bātoñ meñ ye nashtar bhī chubhonā chāhā
dīda-e-tar se bhī sarzad huā ik jurm-e-azīm
hashr meñ nāma-e-a.amāl ko dhonā chāhā
marte marte bhī tavaqqo.a rahī dildārī kī
rakh ke sar zānū-e-taqdīr pe sonā chāhā
haa.e kis dard se kī zabt kī talqīn mujhe
hañs paḌe dost jo maiñ ne kabhī ronā chāhā
jins-e-shohrat bahut arzāñ thī magar maiñ ne 'hafīz'
daulat-e-dard ko be-kār na khonā chāhā