ik baar phir vatan meñ gayā jā ke aa gayā
laḳht-e-jigar ko ḳhaak meñ dafnā ke aa gayā
har ham-safar pe ḳhizr kā dhokā huā mujhe
āb-e-baqā kī raah se katrā ke aa gayā
hūr-e-lahad ne chhīn liyā tujh ko aur maiñ
apnā sā muñh liye hue sharmā ke aa gayā
dil le gayā mujhe tirī turbat pe baar baar
āvāz de ke baiTh ke uktā ke aa gayā
royā ki thā jahez tirā vājib-ul-adā
meñh motiyoñ kā qabr pe barsā ke aa gayā
merī bisāt kyā thī huzūr-e-razā-e-dost
tinkā sā ek sāmne dariyā ke aa gayā
ab ke bhī raas aa.ī na hubb-e-vatan 'hafīz'
ab ke bhī ek tīr-e-qazā khā ke aa gayā