dil abhī tak javān hai pyāre
kis musībat meñ jaan hai pyāre
tū mire haal kā ḳhayāl na kar
is meñ bhī ek shaan hai pyāre
talḳh kar dī hai zindagī jis ne
kitnī mīThī zabān hai pyāre
vaqt kam hai na chheḌ hijr kī baat
ye baḌī dāstān hai pyāre
jaane kyā kah diyā thā roz-e-azal
aaj tak imtihān hai pyāre
ham haiñ bande magar tire bande
ye hamārī bhī shaan hai pyāre
naam hai is kā nāseh-e-mushfiq
ye mirā mehrbān hai pyāre
kab kiyā maiñ ne ishq kā daavā
terā apnā gumān hai pyāre
maiñ tujhe bevafā nahīñ kahtā
dushmanoñ kā bayān hai pyāre
saarī duniyā ko hai ġhalat-fahmī
mujh pe to mehrbān hai pyāre
tere kūche meñ hai sukūñ varna
har zamīñ āsmān hai pyāre
ḳhair fariyād be-asar hī sahī
zindagī kā nishān hai pyāre
sharm hai ehtirāz hai kyā hai
parda sā darmiyān hai pyāre
arz-e-matlab samajh ke ho na ḳhafā
ye to ik dāstān hai pyāre
jañg chhiḌ jaa.e ham agar kah deñ
ye hamārī zabān hai pyāre