Hafeez Jalandhari

ye mulaqat mulaqat nahin hoti hai

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
ye mulāqāt mulāqāt nahīñ hotī hai
baat hotī hai magar baat nahīñ hotī hai
bāryābī kā burā ho ki ab un ke dar par
agle vaqtoñ kī mudārāt nahīñ hotī hai
ġham to ghanghor ghaTāoñ kī tarah uThte haiñ
zabt kā dasht hai barsāt nahīñ hotī hai
ye mirā tajraba hai husn koī chaal chale
bāzi-e-ishq kabhī maat nahīñ hotī hai
vasl hai naam ham-āhañgī o yak-rañgī kā
vasl meñ koī burī baat nahīñ hotī hai
hijr tanhā.ī hai sūraj hai savā neze par
din hī rahtā hai yahāñ raat nahīñ hotī hai
zabt-e-girya kabhī kartā huuñ to farmāte haiñ
aaj kyā baat hai barsāt nahīñ hotī hai
mujhe allāh kī qasam sher meñ tahsīn-e-butāñ
maiñ jo kartā huuñ merī zaat nahīñ hotī hai
fikr-e-taḳhlīq-e-suḳhan masnad-e-rāhat pe hafīz
bā.is-e-kashf-o-karāmāt nahīñ hotī hai
Top Urdushayar.com