Hafeez Jalandhari

un ko jigar ki justuju unki nazar ko kya karun

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
un ko jigar kī justujū un kī nazar ko kyā karūñ
mujh ko nazar kī aarzū apne jigar ko kyā karūñ
raat hī raat meñ tamām tai hue umr ke maqām
ho ga.ī zindagī kī shaam ab maiñ sahar ko kyā karūñ
vahshat-e-dil fuzūñ to hai haal mirā zubūñ to hai
ishq nahīñ junūñ to hai us ke asar ko kyā karūñ
farsh se mutma.in nahīñ past hai nā-pasand hai
arsh bahut buland hai zauq-e-nazar ko kyā karūñ
haa.e koī davā karo haa.e koī duā karo
haa.e jigar meñ dard hai haa.e jigar ko kyā karūñ
ahl-e-nazar koī nahīñ is liye ḳhud-pasand huuñ
aap hī dekhtā huuñ maiñ apne hunar ko kyā karūñ
tark-e-ta.alluqāt par gir ga.ī barq-e-iltifāt
rāhguzar meñ mil ga.e rāhguzar ko kyā karūñ
Top Urdushayar.com