Hafeez Jalandhari

ab to kuchh aur bhi andhera hai

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
ab to kuchh aur bhī añdherā hai
ye mirī raat kā saverā hai
rahzanoñ se to bhaag niklā thā
ab mujhe rahbaroñ ne gherā hai
aage aage chalo tabar vaalo
abhī jañgal bahut ghanerā hai
qāfila kis kī pairvī meñ chale
kaun sab se baḌā luTerā hai
sar pe raahī ke sarbarāhī ne
kyā safā.ī kā haath pherā hai
surma-ālūd ḳhushk āñsuoñ ne
nūr-e-jāñ ḳhaak par bikherā hai
raakh raakh ustuḳhvāñ safed safed
yahī manzil yahī baserā hai
ai mirī jaan apne jī ke sivā
kaun terā hai kaun merā hai
so raho ab 'hafīz' jī tum bhī
ye na.ī zindagī kā Derā hai
Top Urdushayar.com