Hafeez Jalandhari

kisi ke ru-ba-ru baiTha raha main be-zaban ho kar

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
kisī ke rū-ba-rū baiThā rahā maiñ be-zabāñ ho kar
mirī āñkhoñ se hasrat phuuT niklī dāstāñ ho kar
ḳhudā-hāfiz kisī ke rāz-e-ulfat kā ḳhudā-hāfiz
ḳhayāl aate hī ab to dil dhaḌaktā hai fuġhāñ ho kar
piyā āb-e-baqā ai ḳhizr ab tāsīr bhī dekho
qayāmat tak raho pāband umr-e-jāvedāñ ho kar
yakāyak vo marīz-e-ġham kī sūrat kā badal jaanā
vo ro denā kisī nā-mehrbāñ kā mehrbāñ ho kar
kitāb-e-dahr kā dilchasp TukḌā hai mirī hastī
mujhe dekho ki baiThā huuñ mujassam dāstāñ ho kar
sunā hai is taraf se bhī janāb ishq guzreñge
mirī hastī na uḌ jaa.e ġhubār-e-kārvāñ ho kar
Top Urdushayar.com