vo abr jo mai-ḳhvār kī turbat pe na barse
kah do ki ḳhudārā kabhī guzre na idhar se
itnā to huā aah shab-e-ġham ke asar se
fitrat kā jigar phuuT bahā chashm-e-sahar se
ummīd ne bhī yaas ke murdoñ ko pukārā
aa.ī koī āvāz na dil se na jigar se
nāseh ko bulāo mirā īmān sambhāle
phir dekh liyā us ne usī ek nazar se
ḳhurshīd-e-qayāmat kī adā dekh rahā huuñ
miltī huī sūrat hai mire dāġh-e-jigar se
ek ek qadam par hai jahāñ ḳhanda-e-taqdīr
tadbīr guzartī hai usī rāhguzar se
ai ḳhanda-e-gulshan ye hai anjām-e-shab-e-aish
gul rote haiñ na muñh Dhāñp ke dāmān-e-sahar se
kuchh shān-e-karīmī ne is andāz se taulā
bhārī hī rahā dīda-e-tar dāman-e-tar se
ḳhatre meñ haiñ kuchh din se 'hafīz' ahl-e-do-ālam
har shab mere nāloñ kī laḌā.ī hai asar se