maut ke chehre pe hai kyuuñ murdanī chhā.ī huī
dekhnā kaun aa gayā kyuuñ Tal ga.ī aa.ī huī
koī badlī to nahīñ ubhrī ufuq par dekhnā
phir fazā-e-tauba par hai be-dilī chhā.ī huī
siikh duniyā hī meñ zāhid huur se milne ke Dhañg
varna ro.egā ki jannat meñ bhī rusvā.ī huī
ḳhāna-e-dil meñ kisī parda-nashīñ kī aarzū
aarzū kyā hai dulhan baiThī hai sharmā.ī huī
ishq hai apnī vafāoñ se bhī sharmāyā huā
aql hai apnī ḳhatāoñ par bhī itrā.ī huī
kaash is misra.a kā tum ko paas hotā ai 'hafīz'
ye bahār aa.ī huī aisī ghaTā chhā.ī huī