Maatam Fazl Mohammad

bas tamanna hai ishq-e-maula mein

Maatam Fazl Mohammad

bas tamannā hai ishq-e-maulā meñ
ki marūñ maiñ yahī tamannā meñ
ishq-e-ḳhūbāñ nahīñ hai aisī shai
bāñdh kar rakhiye jis ko puḌiyā meñ
ruḳh-e-afshāñ meñ tere ālam-e-nūr
nam qamar meñ hai nam surayyā meñ
yad-e-baizā kā hai ḳhayāl aatā
dekh mehñdī tire kaf-e-pā meñ
tere bīmār-e-hijr ai mahbūb
na to motī meñ haiñ na ahyā meñ
vahdahū-lā-sharīk-la hai tū
tujh sā duniyā meñ hai na uqbā meñ
tujh ko kyuuñ kar kaheñ ham harjā.ī
nuur to jalva-gar hai har jā meñ
kyā kahūñ din ko kis qadar royā
raat dilbar ko dekh ruuyā meñ
ishq lagte hī ho gayā ma.alūm
hāl-e-majnūñ ishq-e-lailā meñ
maraz-e-ishq husn-e-ḳhūbāñ kā
marg darmāñ hai naam hukamā meñ
hāsil-ul-amr ham hue badnām
ishq husn-e-butān-e-zebā meñ
ruḳh-e-yūsuf se ruḳh mushābah hai
lab haiñ milte lab-e-masīhā meñ
āb-e-bārāñ se gir na paa.e madad
ḳhaak paḌ jaa.e chashm-e-dariyā meñ
ye duā haq se hai mirā 'mātam'
dafn ho karbalā-muallā meñ
Top Urdushayar.com