ne amīroñ meñ ne vazīroñ meñ
ishq ke ham to haiñ faqīroñ meñ
koī āzād ho to ho yaaro
ham to haiñ ishq ke asīroñ meñ
banda-e-ishq haq hai apne yahāñ
tāj-dāroñ meñ taḳht-gīroñ meñ
furqat-e-yār kī bharī hai bū
nāla-hā-e-nai o nafīroñ meñ
zan-e-duniyā murīd kis kī nahīñ
ham bhī is qahba ke the pīroñ meñ
ab to ḳhāmosh haiñ qafas meñ kabhī
naġhma-sañjāñ the ham-safīroñ meñ
ham ko tū vājib-ul-vajūd milā
ham kabīroñ meñ ham saġhīroñ meñ
kunj-e-uzlat meñ yaar ko paayā
ne qalīloñ meñ ne kasīroñ meñ
shukr-e-haq kījiye ki hai 'mātam'
apne dildār dil-pazīroñ meñ