Maatam Fazl Mohammad

aashiq hai jo tumhaare ruKH-e-surKH-rang ka

Maatam Fazl Mohammad

āshiq hai jo tumhāre ruḳh-e-surḳh-rañg kā
rahtā hai us ko nashsha sharāb-e-farañg kā
kahte haiñ log dekh tere ruḳh pe ḳhaal ko
kyā hukm rome meñ hai sipahdār zañg kā
ai rashk-e-hūr vus.at-e-jannat meñ bhī mujhe
tujh bin hai be-gumān yaqīñ gor-e-tañg kā
jab se patañg huuñ maiñ tire sham.a-rū kā yaar
ma.alūm thā na tujh ko uḌānā patañg kā
ḳhauf-e-ḳhudā na hotā to rakhtā maiñ ai sanam
arsh-e-azīm naam tumhāre palañg kā
ai sabz-rañg mast-e-mai-e-ishq-o-husn to
afyūñ ko pūchhte nahīñ kyā zikr bhañg kā
ḳhāl-e-ruḳh-e-nigār haiñ chehre ḳhayāl meñ
biinī dikhā.ī de hai donālī tufañg kā
mātam mirā hai yaar sivā ham ko bazm-e-nūr
saut-e-bukā se kam nahīñ āvāz chañg kā
ātish kā sher paḌhtā huuñ aksar ba-hasb-e-hāl
dil said hai vo bahr-e-suḳhan ke nahañg kā
vo chashm ghaat meñ dil-e-pur-dāġh ke nahīñ
aahū ko hai irāda shikār-e-palañg kā
nāmūs kā to fikr hai 'mātam' abas yahāñ
ye ishq ḳhasm naam kā dushman hai nañg kā
Top Urdushayar.com