tandurustoñ meñ na bīmāroñ ke biich
ishq ke huuñ maiñ dil-afgāroñ ke biich
ishq hai sair-e-ḳhudā ai dostāñ
is liye ashraf hai asrāroñ ke biich
manzil-e-dūr-o-darāz-e-ishq meñ
ġham ko paayā ham ne ġham-ḳhvāroñ ke biich
dostāñ hai lā-davā dūr-az-shifā
ishq kā āzār āzāroñ ke biich
ab to hai kunj-e-qafas ghar par kabhī
bulbulo the ham bhī gulzāroñ ke biich
kyā kaheñ ham kah nahīñ sakte haiñ yaar
añdkoñ meñ hai ki bisyāroñ ke biich
jis ke juuyā momin o mushrik haiñ vo
subbahoñ meñ hai na zunnāroñ ke biich
rahm kar ham par bhī dil-bar haiñ tire
ishq ke hāthoñ se āvāroñ ke biich
gul ne tā da.avā kiyā ruḳh se tire
be-qadar baktā hai bāzāroñ ke biich
yā husain-ibn-e-alī 'mātam' ko bhī
kiije dāḳhil apne zavvāroñ ke biich