Maatam Fazl Mohammad

shoalon se mohabbat ki meri jaan mein lagi aag

Maatam Fazl Mohammad

sho.aloñ se mohabbat kī mirī jaañ meñ lagī aag
phir jaañ se bhaḌak jism ke maidāñ meñ lagī aag
ye ātish-e-ġham hai ki dam-e-sard se apne
sar-chashma-e-ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ meñ lagī aag
us huur ke kūche meñ bhare ham jo dam-e-garm
mardum ne kahā rauza-e-rizvāñ meñ lagī aag
ḳhandāñ jo huā yaar hameñ dekh ke giryāñ
logoñ ne kahā barq se bārāñ meñ lagī aag
in rozoñ meñ hai rañg jo ashkoñ kā gulābī
shāyad ki mire dīda-e-giryāñ meñ lagī aag
garmī se nagar ke tire gun aab huā dekh
bulbul ne pukārā ki gulistāñ meñ lagī aag
naarī haiñ jo pariyāñ ye sabab hai ki tumhāre
nūr-e-ruḳh-e-raushan se paristāñ meñ lagī aag
us ātishīñ-rū ko ba-lab-e-bām jo dekhā
aalam ne kahā gumbad-e-gardāñ meñ lagī aag
dariyā meñ vo dhoyā thā kabhī dast-e-hinā.ī
hasrat se vahīñ panja-e-marjāñ meñ lagī aag
ġhairoñ kī taraf jo nazar-e-mehr se dekhā
ġhairat se mire sīna-e-sozāñ meñ lagī aag
kyuuñ kohkan-o-qais raheñ mujh se na nālāñ
nāloñ se mire koh-o-bayābāñ meñ lagī aag
vo soḳhta-dil huuñ maiñ pas-az-marg jo guzrā
marqad se mire yaar ke dāmāñ meñ lagī aag
'mātam' hai kisī soḳhta-dil kā asar-e-āh
be-vaj.h nahīñ kūcha-e-jānāñ meñ lagī aag
Top Urdushayar.com