Maatam Fazl Mohammad

ai dil-e-zar likho jaanib-e-jaanan kaghaz

Maatam Fazl Mohammad

ai dil-e-zār likho jānib-e-jānāñ kāġhaz
haal kā likhte haiñ fuqarā sū-e-sultāñ kāġhaz
marja.a-e-gabr-o-musalmāñ hai vo but nām-e-ḳhudā
bhejte haiñ use hindū o musalmāñ kāġhaz
un kā mazmūn bhī albatta huvaidā hogā
ab jo aane lage us shoḳh ko pinhāñ kāġhaz
haif hai sub.h-e-vatan se na huā vārid-e-vaqt
hech gaahe ba-sar-e-shām-e-ġharībāñ kāġhaz
kisī kā bhī na javāb aayā hameñ ġhurbat meñ
laakh ham likhe vatan ko sū-e-yārāñ kāġhaz
vasf afshāñ kā hai kis sīm-badan ke likhnā
kāġhzī ham ko hai darkār zar-afshāñ kāġhaz
is qadar ham ne girāñ kar diye likh likh ke kise
varna kis martaba the shahr meñ arzāñ kāġhaz
likhte ham to ḳhat-e-mahbūb ko har dam nau-ḳhat
likhne dete jo hameñ dīda-e-giryāñ kāġhaz
mujh se dīvāne ko kyā ḳhat vo parī-zād likhe
likhte albatta haiñ insāñ sū-e-insāñ kāġhaz
bhejtā huuñ maiñ kisī rashk-e-gulistāñ kī taraf
merā pahuñchā.e magar murġh-e-gulistāñ kāġhaz
bhejtā huuñ maiñ kisī sānī-e-bilqīs ke saub
merā le jaa.e magar murġh-e-sulaimāñ kāġhaz
kyā magar bhuul ga.e bā.is-e-jam.iyyat-e-ḳhvesh
ham ko bheje na adam se jo azīzāñ kāġhaz
kahte haiñ nisf mulāqāt hai maktūb bhī yaar
kabhī likkho to sū-e-mātam-e-nālāñ kāġhaz
Top Urdushayar.com