dūdmān-e-dard kī shādī haiñ ham
ḳhāndān-e-ġham kī ābādī haiñ ham
apnī shūmī se huī shādī ġhamī
shāyad ābādī kī barbādī haiñ ham
apne āb-e-chashm se sarsabz haiñ
zeb-e-dasht-o-zīnat-e-vādī haiñ ham
darmiyān-e-zindagī-o-marg haiñ
qābil-e-said o na sayyādī haiñ ham
zaḳhm-hā-e-hijr meñ kyā kyā sahe
kushtagān-e-teġh-e-faulādī haiñ ham
banda-e-pīrem yā-rab az azaab
mūrid-e-altāf-e-āzādī haiñ ham
ham nahīñ kahte muqallid haiñ tire
tere dar ke kalb-e-qillādī haiñ ham
daad kar ai dād-gar ushshāq-kush
tere aage tujh se fariyādī haiñ ham
ḳhūñ-bahā ma.ashūq se lete nahīñ
āshiq-e-insāf-e-be-dādī haiñ ham
duḳhtar-e-raz ko koī ham se kahe
tere to haqdār dāmādī haiñ ham
ham gunahgār-e-janāb-e-ishq haiñ
abd-e-ubbādī na aurādī haiñ ham
ai azīzāñ tark-e-ishq-e-husn meñ
sañg par juuñ naqsh-e-bahzādī haiñ ham
lā-valad kahte haiñ ham ko lā-valad
sher se az-bas-ki aulādī haiñ ham
āqibat ḳhākī haiñ ḳhākī hoñge ne
ātishī-o-āhī-o-bādī haiñ ham
fat.h-bāġhī ne nasar-pūrī haiñ balki
sindh meñ bhī haidrābādī haiñ ham
kyā kaheñ kyā the kahāñ se aa.e haiñ
misl-e-mazmūn-e-nau īrādī haiñ ham
phir bhī vo īrād karne saktā hai
jis ke avval baar ījādī haiñ ham
mast-e-ahmad se 'mātam' haiñ shakar*
ne sumūdī qaum ne aadī haiñ ham