ye kis karnī kā phal hogā kaisī rut meñ jaage ham
tez nukīlī talvāroñ ke biich meñ kachche dhāge ham
Tahnī Tahnī jhuul rahī haiñ lāsheñ zinda pattoñ kī
kyā is nazzāre kī ḳhātir jañgal jañgal bhāge ham
jaltī dhūpeñ pyāsā panchhī nahr kināre utregā
jab bhī koī zaḳhm dikhā hai añg piyā ke laage ham
apnī hī pahchān nahīñ to saa.e kī pahchān kahāñ
chappa chappa dīvāreñ haiñ kyā dekheñge aage ham
sab ke āñgan jhāñkne vaale ham se hī kyuuñ bair tujhe
kab tak terā rasta dekheñ saarī raat ke jaage ham