Sehr Ishqabadi

hasinon ke tabassum ka taqaza aur hi kuchh hai

Sehr Ishqabadi

Ishqabad, Uttar pradesh, India

1903-1978
hasīnoñ ke tabassum kā taqāzā aur hī kuchh hai
magar kaliyoñ ke khilne kā natīja aur hī kuchh hai
nigāheñ mushtaba haiñ merī pākīza nigāhoñ par
mire māsūm dil par un ko dhokā aur hī kuchh hai
hasīnoñ se mohabbat hai unhīñ par jaan detā huuñ
mirā sheva hai ye lekin zamānā aur hī kuchh hai
bhalā kyā hosh aa.egā bujhegī kyā lagī dil kī
ye āñchal se havā dene kā manshā aur hī kuchh hai
zabān o aql o dil tārīf se jis kī haiñ begāne
use sajda jo kartā hai vo banda aur hī kuchh hai
tujhe har shai meñ dekhā 'sehr' ne har shai meñ pahchānā
magar phir bhī hai ik parda vo parda aur hī kuchh hai
Top Urdushayar.com