Sehr Ishqabadi

wo jo firdaus-e-nazar hai aaina-KHana abhi

Sehr Ishqabadi

Ishqabad, Uttar pradesh, India

1903-1978
vo jo firdaus-e-nazar hai ā.īna-ḳhāna abhī
jalva-gar jo vo na hoñ ho jaa.e vīrāna abhī
sham.a kī lau meñ samā kar ḳhud sarāpā nuur ho
dūr-ras itnī nahīñ parvāz-e-parvāna abhī
terā dīvāna hai us kī rif.atoñ kā zikr kyā
gard ko jis kī na pahuñchā koī farzāna abhī
multafit ho kar na baḳhsheñ is tarah labrez jaam
merī hastī kā chhalak jaa.e na paimāna abhī
kaabe se phir aayā vo bahr-e-tavāf-e-mai-kada
'sehr' kī fitrat meñ hai andāz-e-rindāna abhī
Top Urdushayar.com