takmīl-e-ishq jab ho ki sahrā bhī chhoḌ de
majnūñ ḳhayāl-e-mahmil-e-lailā bhī chhoḌ de
kuchh iqtizā-e-dil se nahīñ aql be-niyāz
tanhā ye rah sake to vo tanhā bhī chhoḌ de
yā dekh zāhid us ko pas-e-parda-e-majāz
yā e'tibār-e-dīda-e-bīnā bhī chhoḌ de
kuchh lutf dekhnā hai to saudā-e-ishq meñ
ai sarfarosh sar kī tamannā bhī chhoḌ de
vo dard hai ki dard sarāpā banā diyā
maiñ vo marīz huuñ jise iisā bhī chhoḌ de
āñkheñ nahīñ jo qābil-e-nazzāra-e-jamāl
tālib se kah do zauq-e-tamāshā bhī chhoḌ de
hai barq-pāshiyoñ kā gila 'sehr' ko abas
kyā us ke vāste koī hañsnā bhī chhoḌ de