Sehr Ishqabadi

farishte bhi pahunch sakte nahin wo hai makan apna

Sehr Ishqabadi

Ishqabad, Uttar pradesh, India

1903-1978
farishte bhī pahuñch sakte nahīñ vo hai makāñ apnā
Thikānā DhūñDe daur-e-zamīñ-o-āsmāñ apnā
ḳhudā jabbār hai har banda bhī majbūr o taabe hai
do aalam meñ nazar aayā na koī mehrbāñ apnā
nigāh-e-muztarib phir DhūñDtī hai kis ko har shai meñ
zamīn apnī aziiz apne ḳhudā-e-do-jahāñ apnā
guzarne ko to guzre jā rahe haiñ rāh-e-hastī se
magar hai kārvāñ apnā na mīr-e-kārvāñ apnā
na vo parvāz kī quvvat na vo dil kī umañg ab hai
huī muddat chaman chhūTe qafas hai āshiyāñ apnā
pahelī ḳhud thī hastī ishq ne kuchh aur uljhā.ī
koī ai 'sehr' kyā samjhe nahīñ maiñ rāz-dāñ apnā
Top Urdushayar.com